=== Kuch Bhi Nahin === Kuch bhi nahin hai, pyar ke bina Mera masih hai, pyar ka khuda Ye Zameen, yeh Aasmaan Ye Bandagi, yeh Zindagi -kuch bhi nahin Kuch bhi nahin hai pyar ke bina Pyar mohabbat ishq wafa, naam hai tere sabhi khuda Zindagi mein hume bus pyar kare, tere milne ka intezar kare Hum tere bin kuch bhi nahin, Kuch bhi nahin hum tere bina Kuch bhi nahin hai…. Pyar kabhi jalta nahin, apni badai karta nahin Pyar hai dheeraj, pyar hai maafi Darta nahin bura manta nahin Sab baaten yeh seh leta hai, sacchi baat bhi keh deta hai Khush hota hai acchai se, door rahe burai se Pyar kabhi jalta nahin, apni badai karta nahin Pyar hai dheeraj, pyar hai maafi Darta nahin bura manta nahin Gyan adhoora, pyar ke bina Kuch bhi nahin hai…. www.jesusnewsong.com